Yaad aata hai dharamsala ka aangan
Charotu wali rasoi
aur chulha
Tranko ka kamra
aur bukharcha
Woh galgal aur amrood ke boote.
Woh chabiyon ka guchha aur almari ke neeche chappal joote aur kaala chhaata.
Woh bibi ji ke haath ka lungru ka madra
Woh galgal ki chutney aur badiyon ka khatta.
Woh gol gappe aur tikki ka thela,
Woh war memorial ka tank aur cheel ke ped.
Yaad aata hai chungi ke pas sabzi lene jaana,
Adde par bhune chane le kar khana
Woh tar par kapde sukhana
Aur manjiyon ko kasna.
Yaad hain woh biscuit ke dabbe
Aur gokul ji ka wahan baar baar jaana.
Yad hai Madhu didi ka Kotwali se aana
Sabjiyon se fridge ko bharna.
Yaad hain Vivek ka TV ko chhedna
Kanika aur Sonali ki
Darwaza band kar ke khusarpusar,
Sachin aur Vivek ka darwaze ko peetna.
Carrom board aur chinese checker khelna.
Yaad hai gullu ke haath ke
chulhe mein bhune aalu.
Yaad hai sari massi ke chutkule
Baade mama ki ka sair karte hue aana.
Sunday ko upar satsang mein jaana.
Woh beet gaya zamana.
Ab wahan jaane ka nahin koi bahana.
Charotu wali rasoi
aur chulha
Tranko ka kamra
aur bukharcha
Woh galgal aur amrood ke boote.
Woh chabiyon ka guchha aur almari ke neeche chappal joote aur kaala chhaata.
Woh bibi ji ke haath ka lungru ka madra
Woh galgal ki chutney aur badiyon ka khatta.
Woh gol gappe aur tikki ka thela,
Woh war memorial ka tank aur cheel ke ped.
Yaad aata hai chungi ke pas sabzi lene jaana,
Adde par bhune chane le kar khana
Woh tar par kapde sukhana
Aur manjiyon ko kasna.
Yaad hain woh biscuit ke dabbe
Aur gokul ji ka wahan baar baar jaana.
Yad hai Madhu didi ka Kotwali se aana
Sabjiyon se fridge ko bharna.
Yaad hain Vivek ka TV ko chhedna
Kanika aur Sonali ki
Darwaza band kar ke khusarpusar,
Sachin aur Vivek ka darwaze ko peetna.
Carrom board aur chinese checker khelna.
Yaad hai gullu ke haath ke
chulhe mein bhune aalu.
Yaad hai sari massi ke chutkule
Baade mama ki ka sair karte hue aana.
Sunday ko upar satsang mein jaana.
Woh beet gaya zamana.
Ab wahan jaane ka nahin koi bahana.